Na jaane kya chahta he ye dil deewana
bas dilo deemag me ulza raha he ye anjaana
main hoo ek anjaana sa deewaan badal
chalta hoo raho main begaana saa badal
kabhi is dagar to kabhi us dagar
na mazil ki parwah na raaste ka daar
kabhi is aur mood jau to kabhi us aur
naa jaane kis raah ko bana lu apna humsafar
kabhi kabhi khudse karta hoo baate
to kabhi karta hoo khud se hi mulakaate
dur tak chalte chalte rahe mud jaati he
kabhi andhere me manzile kahi kho jati he
kya chahata he ye dil ise naa pata
bas apne dilo deemag se rahta he ye khafa
raasto me mushkile to bahut aayi
par kabhi aandhiya rasta mod na payi
Na jaane kya chahta he ye dil deewana
bas dilo deemag me ulza raha he ye anjaana